Javascript required
Skip to content Skip to sidebar Skip to footer

Qateel Shifai Poetry in Hindi

Qateel Shifai Poetry

wasi shah

Qateel Shifai is a famous Urdu poet.He is Born on December 24, 1919 in Pakistan.He is Died July 11, 2001.Lahore, Punjab, Pakistan He wrote 2,500 film songs for Pakistani and Indian films.



Jo Tu Hai Payaar Ka Baadal To Baar Baar Baras

Jo Tu Hai Payaar Ka Baadal To Baar Baar Baras;

Na Bheeg Paun Ga Main Tere Ek Nazarae Se!

share whatsapp

share viber

Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna

Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna;
Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna;

Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna;
Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna;

Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe;
Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna;

Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai;
Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna;

Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena;
Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna;

Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye;
Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna;

Iss Tarah �Qateel� Us Se Bartaao Rahe Apna;
Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna!

share whatsapp

share viber

Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum

Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum;
Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum;
Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar;
Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum!

share whatsapp

share viber

Koshish Karun Ga Usko Bhulane Kee Umar Bhar

Koshish Karun Ga Usko Bhulane Kee Umar Bhar;

Aaye Gi Uski Yaad Magar Umar Bhar Mujhe!

share whatsapp

share viber

Dard Se Mera Daman Bhar De Ya Allah

Dard Se Mera Daman Bhar De Ya Allah;
Phir Chahe Deewana Kar De Ya Allah;

Maine Tujhse Chand Sitare Kab Maange;
Roshan Dil Bedaar Nazar De Ya Allah;

Suraj Si Ik Cheez To Hum Sab Dekh Chuke;
Sach-Much Kee Ab Koi Sehar De Ya Allah;

Ya Dharti Ke Zakhmon Par Marham Rakh De;
Ya Mera Dil Patthar Kar De Ya Allah!

share whatsapp

share viber

Dil Pe Aaye Hue Ilzam Se Pehchante Hain

Dil Pe Aaye Hue Ilzam Se Pehchante Hain;

Log Ab Mujhko Tere Naam Se Pehchante Hain!

share whatsapp

share viber

Ab Jis Ke Jee Mein Aaye Wahi Paaye Roshni

Ab Jis Ke Jee Mein Aaye Wahi Paaye Roshni

Hum Ne To Dil Jalaa Ke Sar-e-Aam Rakh Diya!

share whatsapp

share viber

Lamha Bhar Apna Hawaaon Ko Bananay Waale

Lamha Bhar Apna Hawaaon Ko Bananay Waale;

Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kabhi Jaane Waale!

share whatsapp

share viber

Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe

Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe;
Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe;

Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin;
To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe;

Barah-E-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe;
Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe;

Jab Un Ke Deed Ke Liye Qitaar Mein Kharra Tha Mein;
Qitaar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe;

Mein Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar;
Kabhi Kabhi To Zulff Mein Sajaa Liya Geya Mujhe!

Sawaal Tha Ke Wafaa Hai Kya, Jawab Tha Ke Zindagi;
Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe!

share whatsapp

share viber

Angrai par angrai leti hai rat judai ki

Angrai par angrai leti hai rat judai ki
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki

wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki

urte urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rote rote baith gai awaz kisi saudai ki

share whatsapp

share viber

Qateel Shifai Poetry in Hindi

Source: https://www.whatspk.com/poetry/Qateel_Shifai_Poetry.html